Umer Nizami
Poochne wale!
Tujhe kaisay batien akhir
Dukh ibarat to nahi jo tumhien likh ker bhejien
Yeah kahani bhi nahi hai ke sunien tujh ko…
Na koi baat hi aisi ke batien tujh ko…
Zakham ho to tere nakhun ke hawalay ker dien
Aaina bhi to nahi hai ke dekhaien tujh ko…
Yeah koi raaz nahi, jis ko chupaien to wo raaz
Kabhi chehre, kabhi aankhoon se chalak jata hai
Jaisay anchal ko sambhale koi, aur taiz hawa!
Jab bhi chalti hai to shanoon se dhalak jata hai
Ab tujhe kaisay batien, ke humien dukh kia hai

Try to add some relevant post about Umer Nizami in this blog :)
ReplyDelete